→ Hum agar aapse mil nahi pate aisa nahin ke hamein
aap yaad nahi aate,
mana jahan ke sab rishte nibhaye nahi jate,
par jo bas jate hai dil me phir bhulae nahi jate
→ 3 Cheezain zindgi mein 1 bar milti hai,WAALDEN,HUSN or JAWANI
3 Cheezain soch samajh kar uthao,QADAM,
QASAM or QALAM
3 Cheezain soch kar karo,
MOHABBAT, BATEIN or FAISLA
→ Nazar nawaz najaro me ji nahi lagta,
fiza gai to baharo me ji nahi lagta,
na puchh mujse tere gum me kya gujarti hai,
yahi kahunga hazaron me ji nahi lagta
→ Kafi hai husn ko behlane ke liye,
mohabbat karlo dil ko dukhane ke liye,
chahe bhale pade gam se vasta,
ek hum jaisa dost rakhna sab gamo ko bhulane ke liye
→ Fiza par asar hawaon ka hota hai,
mohabbat par asar adaon ka hota hai,
koi aisa hi kisi ka diwana nahi hota,
kuch kasoor to nigahon ka hota hai
→ Pyar ke ujalo me gum ka andhera kyu aata hai,
jisko hum chahte hai wohi kyu rulata hai,
mere khuda agar wo mera naseeb nahi to aise logon se
kyu milata hai
→ Waqt guzrega hum bikhar jayenge,
kaun jane ke hum kidhar jayenge,
hum apki parchayi hain yaad rakhna,
jahan tanhai mili wahan hum nazar ayenge
→ Gham me hasne walo ko kabhi rulaya nahi jata,
lehro se pani ko hataya nahi jata,
hone wale ho jate hain khudhi dil se apne,
kisi ko kehkar apna banaya nahi jata
→ Movie titles related to engg students:
exams – socha na tha,
classes – kabhi kabhi,
question papers – na tum jano na hum,
copying – yaarana,
maths2 – asambhav,
maths1 – mission impossible,
environmental sciences – pyar mein kabhi kabhi,
1st semester – kuch to hai,
2nd semester – yeh kya ho raha hai,
distinction – kal ho na ho,
1st class – raju bangaya gentleman,
2nd class – dil mange more
fail – phir milenge
→ Hum wo ishq hain jo dil bankar dhadakte hai,
hum wo khushbo hain jo baho mein mahakte hain,
humse pyar na karna e-zalim hum vo dard hain jo ankho
se chalakte hain
→ Apne pyar ko chupana chaha par chupa na sake,
diwane dil pe kabu hum pa na sake,
aaj itne karib se gujar gaye wo,
phir bhi unka hath hum tham na sake
→ Ikrar may shabdo ki ahmiyat nai hoti,
dil ke jazbat ki awaz nai hoti,
ankhen bayan kar deti hai dil ki dastan,
mohabbat lafzo ki mohtaz nai hoti
→ Gam ki aahat na aaye tere dar par,
pyar ke samander ka tum bhi ek kinara ho,
bhool se jo tapke teri aankhon say moti,
thame wohi jo tumhe sabse pyara ho
→ Mohabbat me sath to harpal hota he,
koi dikhne se hota he to koi dilse hota hai,
maza to sath tab aye yaro,
jab judai ka lamha mahsus hota hai
→ Socha tha na karenge kisi se dosti,
na karenge kisi se vaada,
par kya kare dost mila itna pyara ki karna pada dosti
ka vaada
→ Kab unki palkon se izhaar hoga,
dil ke kisi kone mein hamare liye pyar hoga,
guzar rahi hai raat unki yaad mein,
kabhi to unko bhi hamara intezar hoga
→ Nazroo se jab nazar ka takrar hota hai,
har mod par kissi ka intezaar hota hai,
dil rota hai zakham haste hai,
isi ka naam to pyaar hota hai
No comments:
Post a Comment